As many religions are there in the world, so are...
Read MoreEk Kahani Meri bhi…
Namaste!
Ye kahani meri ek dost se suru hoti hai , Jiske karn meri kahani bani.
Mai meri dost AACHAL ek hi college se engineering passout the, Aachal apne batch ki Topper thi ,College Khtam hone ke baad humdono apne apne job ke liye alag-alag city me aagaye but hum phone se connected the. Ek dusre ko har-din ki story bataya kerte the . Acchal apne pariwar se kafi juri hui thi , usse perfect family ka concept bhut hi accha lagta tha. Kuch din baad hi uski shaadi fixed hogayi , larka uske city me job kerta tha sub kuch bhut perfect tha Mai uski shaadi me nahi japayi thi kyu ki mujh pe family responsibility aagayi thi , accha mai batadu mai apni family me akkele hi earn kerti thi. mere papa retire the aur bhai aur ek choti bahen ka education chal raha tha. So ghar ki bari responsibility mujhpe thi.
Kuch shaal baad mujhe Aachal ki city me kuch kaam aagaya , lage haath mane bhi socha usse mil aau. Aachal ki family me sub usse bhut khush the. Kyu ki wo sub ka acche se dyaan rakhti thi, mane pucha uske job ke bare me uska reply tha ki ghar ke khamo se chuti hi nahi milti tu job pe kase focus karungi. Uske husband accha earn kerlete the. Aachal ne bataya uske in- laws ko bus uske haath ka khana pasand hai wo tu bahaar se kuch nahi khate. Uske husband tu ghar me fully uspe dependent hai – shirt, paint, shocks, towel sub yehi manage kerti hai. Aur uski ek beti bhi thi jisko school drop kerne se leke bed time story tak acchal ki hi responsibility thi. Acchal ki beti tu uske bina kahi aati jati hi nahi thi. Mai bhi Aachal ko apni family me itna envolve dekh ke kafi khus thi. Mai bhi sochti thi ki family ho tu assi. Aachal uske ghar ki jaan hai. Mane bhi socha ki after marriage I will be like her only.
Mere return hone ke ek shaal baat hi mujhe pata chala ki acchal ko back bone problem hai jo ki uske pregnacy ke time se tha aur bhi kuch medical issues the usse. Mane use kha bhi tha ki doctor se proper treatment le aur test kerwane ko but uska reply aata tha next week karwaungi , isse week kuch aur kaam hai. Isse beech meri bhi shaadi ek acche ghar me all most fix hogayi thi larka ki earning high thi. Aur meri acchal se baat ab mer shaadi ke bare me jada hoti thi.
Achhanak ek din Mere pass uske husband ka call ata hai ki acchal is no more. I was in shocked kyu ki meri usse 10 days din pahle hi baat hui thi aur usne apne health ke bare me kuch bhi nahi bataya tha. Mai job se foregin trip pe thi 2 months ke liye WO HAMESHA MUJH SE MERE KAAM , MERI SHAADI KI BAAT YEHI KIYA KERTI THI… Mai ja bhi nahi paayi usse bye bolne. Do mahino tak mai sochte rahi ki usski family ka kya hoga, uske in laws, uski beti aur uske husband kase manage kerte honge subkuch.
India return hone ke baad mane sub se pahele uske ghar jane ka socha. Himat ker ke mane call bell bajayi tu ek servent ne door open kiya. Uske ghar me sub kuch pale se jada organised tha . Uske in laws mujh se bhut acche se baat ker rahe the unhone mere sath hi lunch kiya evening me uske husband aur beti sath aaye . Uske beti ab pahele se bari aur talkative thi. Uske husband ne kaal work from home liya tha kyu ki uski beti ki nany chuti pe jane wale thi. Sabko khana ek maid ne serve kiya, mane pucha uske husband se ki life kasi hai unka pehla reply tha ki I got promotion as senior manager, tab mane acchal ke bare me pucha unka reply tha ,it was hard to manage everything without her but any how we have to deal with it. Wo bhi apni Jagha sahi the.
Pahele tu mujhe uske husband pe bhut hi gussa aaraha tha. But mane baad me socha ki uske husband workholic tu suru se hi the. Koi nai baat tu nahi thi. Uske in laws uske shaadi ke pahele tu kud se ya maid se help leke hi cook kerte the . Uski beti akele ki Aachal ki responsibility tu nahi thi. Aachal ne khud ko hi center of the house bana rakha tha. use sub ke liye sub kuch kud hi kerna tha ,mujhe ye tu nahi pata ki usne helper ke liye ghar pa baat ki thi yanahi but ye tu sure tha ki uske bina bhi uska ghar acche se manage ho raha tha. TUB USNE KUD KI CARE KYU NAHI KI, medical treatement, Proper rest, healthy nutritions kyu nahi liya. Mujhe nahi pata yaha kon selfish hai,but itna jaroor samjh aaya ki kisi ki life me apka kitna involment hai wo aap hi kud taya kerte hai. Kisi ki bhi life aapke liye nahi ruke gi ya apki wajha se nahi chalti. Sub ki apni apni responsibility hoti hai. Mujhe ye lesson meri dost ko khone ke baad mila.
Mane shaadi tu ki but apna job nahi chora , mane apni family me bhi sub ko sugesstion diya ki independent banne ko, aaj mera bhai bhi ache govt college se engineering kerliya hai, usne padhai ke liye loan liya tha jo ab wo job ker ke pura ker dega. Meri bhahen ne dance class open kiya hai jiski aaj opening hai.Usse suru se hi dance ka bhut shauk tha ,usne social media se shika aur shikhaya bhi aur usse ke passo se dance class chalayegi. As a big sister mane bhi help ki uski. But mane help ki. Meri maa bahen ko uske class me help kerte hai aur papa uska social media account handle kerte hai.
Mere Husband bhi mere hi office me join ker liye. Humdono ab milke life manage kerte hai aur enjoy bhi . Mere in- laws hometown me rahte the but sasur ji ke dehanth ke baad meri saas ab hamare sath hi rahti hai, wo mujh se ya mere kaam se bhut khush tu nahi per society ke cultural group me kafi involve rahti hai....Maid ke hath ka bane khane ki shikayat kerti hai but usse paro ki malish bhi kerwaleti hai exta paise deke.Job me busy hone ke karn Mere Society me involment kam hi rahta tha but sasu ma ke karn log hame bhi janne lage hai. Festivals me ab accha lagta hai…. Kabhi kabhi assa lagta hai ki kaash AACHAL BHI SAMJH PATI APNI RESPONSIBILITY KE BEACH APNANE LIYE BHI TIME NIKALA HOTA TU WO AAJ HAMARE BEECH HOTI AUR APNE FAMILY KE SATH AUR JADA ENJOY KERTI.
Thankyou.
Achhaal ki dost.
Next story me mai baat karungi apni family aur kids ke baare me tab tak ke liye bye bye.
Aap bhi apni story mujhe bataye DestinyCurves ke madhyam se.